jism ki har baat hai aawaargi ye mat kaho
ham bhi kar sakte hain aisi shaayri ye mat kaho
us ki us badan ki gungunaahat toh suno
ek si hoti hai har ik raagni ye mat kaho
ham se deewaanon ke bin duniyaa sanwarti kis tarah
aql ke aage hai kya deewaangi ye mat kaho
kat saki hain aaj tak sone ki zanjeerein kahan
ham bhi ab aazaad hain yaaro abhi ye mat kaho
paanw itne tez hain uthte aate nahi
aaj thak kar rah gaya hai aadmi ye mat kaho
jitne waade kal the utne aaj bhi maujood hain
un ke waadon mein hui hai kuchh kami ye mat kaho
dil mein apne dard ki chhitki hui hai chaandani
har taraf phaili hui hai teergi ye mat kaho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.