har ek rooh mein ik chhupa lage hai mujhe
ye toh koi bad-dua lage hai mujhe
pasand-e-khaatir-e-ahal-e-wafa hai muddat se
ye dil ka daagh jo khud bhi bhala lage hai mujhe
jo aansuon mein kabhi raat bheeg jaati hai
bahut quareeb wo aawaaz-e-pa lage hai mujhe
main so bhi jaaoon toh kya meri band aankhon mein
tamaam raat koi jhaankata lage hai mujhe
main jab bhi us ke khayaalon mein kho sa jaata hoon
wo khud bhi baat kare toh bura lage hai mujhe
main sochta tha ki lautoonga ajanbi ki tarah
ye mera gaanw toh pahchaanta lage hai mujhe
na jaane waqt ki raftaar kya dikhaati hai
kabhi kabhi toh bada khauf sa lage hai mujhe
bikhar gaya hai kuchh is tarah aadmi ka wajood
har ek fard koi saaneha lage hai mujhe
ab ek aadh quadam ka hisaab kya rakhiye
abhi talak toh wahi faasla lage hai mujhe
hikaayat-e-gham-e-dil kuchh kashish toh rakhti hai
zamaana ghaur se sunta hua lage hai mujhe
Responses
No comments yet. Be the first to respond.