ham ne kaati hain tiri mein raatein aksar
se guzri hain sitaaron ki baraatein aksar
aur toh kaun hai jo mujh ko tasalli deta
haath rakh deti hain dil par tiri baatein aksar
husn shaaista-e-tahzeeb-e-alam hai shaayad
gham-zada lagti hain kyoon chaandani raatein aksar
haal kahna hai kisi se toh mukhaatab hai koi
kitni dilchasp hua karti hain baatein aksar
ishq rahzan na sahi ishq ke haathon phir bhi
ham ne lutti hui dekhi hain baraatein aksar
ham se ik baar bhi jeeta hai na jeetega koi
wo toh ham jaan ke kha lete hain maatein aksar
un se poochho kabhi chehre bhi padhe hain tum ne
jo kitaabon ki kiya karte hain baatein aksar
ham ne un tund-hawaaon mein jalaae hain charaagh
jin hawaaon ne ulat di hain bisaatein aksar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.