achchha hai un se koi taquaza kiya na jaae
apni mein aap ko ruswa kiya na jaae
ham hain tira khayaal hai tera hai
ik pal bhi apne aap ko tanha kiya na jaae
uthne ko uth toh jaaein tiri anjuman se ham
par teri anjuman ko bhi soona kiya na jaae
un ki rawish juda hai hamaari rawish juda
ham se toh baat baat pe jhagda kiya na jaae
har-chand etibaar mein dhoke bhi hain magar
ye toh nahi kisi pe bharosa kiya na jaae
lahja bana ke baat karein un ke saamne
ham se toh is tarah ka tamaasha kiya na jaae
inaaam ho khitaab ho waise mile kahan
jab tak sifaarishon ko ikattha kiya na jaae
is waqt ham se poochh na gham rozgaar ke
ham se har ek ghoont ko kadwa kiya na jaae
Responses
No comments yet. Be the first to respond.