yoon wo zulmat se raha dast-o-gareban yaaro
us se larzan the bahut ke nigahban yaaro
us ne har-gaam diya hausla-e-taaza hamein
wo na ik pal bhi raha ham se gurezan yaaro
us ne maani na kabhi teergi-e- se shikast
dil andheron mein raha us ka farozan yaaro
us ko har haal mein jeene ki ada aati thi
wo na haalaat se hota tha pareshan yaaro
us ne baatil se na ta-zeest kiya samjhauta
dahar mein us sa kahan saahab-e-iman yaaro
us ko thi kashmakash-e-dair-o-haram se nafrat
us sa hindoo na koi us sa musalman yaaro
us ne sultaani-e-jamhoor ke naghme likkhe
rooh shaahon ki rahi us se pareshan yaaro
apne ashaaar ki shamon se ujaala kar ke
kar gaya shab ka safar kitna wo aasan yaaro
us ke geeton se zamaane ko sanwaarein yaaro
rooh-e-saahir ko agar karna hai shaadan yaaro
Responses
No comments yet. Be the first to respond.