ye soch kar na maail-e-fariyaad ham hue
aabaad kab hue the ki barbaad ham hue
hota hai shaad-kaam yahan kaun ba-zameer
naashaad ham hue toh bahut shaad ham hue
parwez ke jalaal se takraae ham bhi hain
ye aur baat hai ki na farhaad ham hue
kuchh aise bha gae hamein duniyaa ke -o-gham
koo-e-butan mein bhooli hui ham hue
jaalib tamaam umr hamein ye guman raha
us zulf ke khayaal se aazaad ham hue
Responses
No comments yet. Be the first to respond.