ye aur baat teri gali mein na aaein ham
lekin ye kya ki shahar tira chhod jaaein ham
muddat hui hai koo-e-butan ki taraf gae
aawaargi se ko kahan tak bachaaein ham
shaayad b-quaid-e-zeest ye saaat na aa sake
tum daastaan-e-shauque suno aur sunaaein ham
be- ho chuki hai bahut shahar ki faza
taareek raaston mein kahin kho na jaaein ham
us ke baghair aaj bahut ji udaas hai
jaalib chalo kahin se use dhoondh laaein ham
Responses
No comments yet. Be the first to respond.