tire maathe pe jab tak bal raha hai
ujaala aankh se ojhal raha hai
samaate kya nazar mein taare
tasawwur mein tira aanchal raha hai
tiri shaan-e-taghaaful ko khabar kya
koi tere liye be-kal raha hai
shikaayat hai -e-dauran ko mujh se
ki dil mein kyoon tira gham pal raha hai
taajjub hai sitam ki aandhiyon mein
charaagh-e-dil abhi tak jal raha hai
lahoo roengi maghrib ki fazaaein
badi tezi se sooraj dhal raha hai
zamaana thak gaya jaalib hi tanha
wafa ke raaste par chal raha hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.