sher hota hai ab maheenon mein
dhal gai masheenon mein
pyar ki raushani nahi milti
un makaanon mein un makeenon mein
dekh kar dosti ka haath badhaao
saamp hote hain aasteenon mein
quahar ki aankh se na dekh in ko
dhadakte hain aabgeenon mein
aasmaanon ki khair ho yaarab
ik naya azm hai zameenon mein
wo mohabbat nahi rahi jaalib
ham-safeeron mein ham-nasheenon mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.