meer-o-ghaalib bane yagaana bane
aadmi ai khuda na bane
ki dastaras mein kab se hain
zindagi ka koi bahaana bane
apna shaayad yahi tha jurm ai dost
ba-wafa ban ke be-wafa na bane
ham pe ik etiraaz ye bhi hai
be-nawa ho ke be-nawa na bane
ye bhi apna qusoor kya kam hai
kisi quatil ke ham-nawa na bane
kya gila sang-dil zamaane ka
aashna hi jab aashna na bane
chhod kar us gali ko ai jaalib
ik haqueeqat se ham fasaana bane
Responses
No comments yet. Be the first to respond.