log geeton ka nagar aaya
aaj pardes mein ghar aaya
jab chale aae chaman-zaar se ham
iltifaat-e-gul-e-tar yaad aaya
teri begaana-nigaahi sar-e-shaam
ye sitam ta-b-sahar yaad aaya
ham zamaane ka sitam bhool gae
jab tira lutf-e-nazar yaad aaya
toh bhi masroor tha is shab sar-e-bazm
apne sheron ka asar yaad aaya
phir hua dard-e-tamannaa bedaar
phir dil-e-khaak-basar yaad aaya
ham jise bhool chuke the jaalib
phir wahi raahguzar yaad aaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.