khoob aazaadi-e-sahaafat hai
nazm likhne pe bhi quayaamat hai
daawa jamhooriyat ka hai har-aan
ye hukoomat bhi kya hukoomat hai
dhaandali dhons ki hai paidaawaar
sab ko maaloom ye haqueeqat hai
khauf ke zehan-o- pe saae hain
kis ki izzat yahan salaamat hai
kabhi jamhooriyat yahan aae
yahi jaalib hamaari hasrat hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.