kahin aah ban ke lab par tira naam aa na jaae
tujhe bewfa kahoon main wo maquam aa na jaae
zara zulf ko sambhaalo mira dhadak raha hai
koi aur taair-e- tah-e-daam aa na jaae
jise sun ke toot jaae mira aarzoo bhara dil
tiri anjuman se mujh ko wo payaam aa na jaae
wo jo manzilon pe la kar kisi ham-safar ko lootein
unhin rahaznon mein tera kahin naam aa na jaae
isi fikr mein hain ghaltan ye nizaam-e-zar ke bande
jo tamaam-e-zindagi hai wo nizaam aa na jaae
ye mah o nujoom hans lein mire aansuon pe jaalib
mira maahtaab jab tak lab-e-baam aa na jaae
Responses
No comments yet. Be the first to respond.