kabhi toh meharban ho kar bula lein
ye mahwash ham faqueeron ki lein
na jaane phir ye rut aae na aae
jawan phoolon ki kuchh khushboo chura lein
bahut roe zamaane ke liye ham
zara apne liye aansoo baha lein
ham un ko bhoolne waale nahi hain
samajhte hain -e-dauran ki chaalein
hamaari bhi sambhal jaaegi haalat
wo pahle apni zulfein toh sambhaalein
nikalne ko hai wo mahtaab ghar se
sitaaron se kaho nazrein jhuka lein
ham apne raaste par chal rahe hain
janaab-e-shaikh apna raasta lein
zamaana toh yoonhi rootha rahega
chalo jaalib unhein chal kar mana lein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.