jeewan mujh se main jeewan se sharmaata hoon
mujh se aage jaane waalo mein aata hoon
jin ki yaadon se raushan hain meri aankhein
kahta hai un ko bhi main yaad aata hoon
sur se saanson ka naata hai todoon kaise
tum jalte ho kyoon jeeta hoon kyoon gaata hoon
tum apne daaman mein sitaare baith kar taanko
aur main nae baran lafzon ko pahnaata hoon
jin khwaabon ko dekh ke main ne jeena seekha
un ke aage har daulat ko thukraata hoon
ugalte hain jab mil kar duniyaa waale
meethe bolon ki waadi mein kho jaata hoon
jaalib mere sher samajh mein aa jaate hain
isi liye kam-rutba shaaer kahlaata hoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.