jhooti khabrein ghadne waale jhoote sher sunaane waale
logo ki apne kiye ki jald saza hain paane waale
aankhon se bahta hai aur chehra sab kuchh kahta hai
ye mat likkho wo mat likkho aae bade samjhaane waale
khud kaatenge apni mushkil khud paaenge apni manzil
raahaznon se bhi bad-tar hain raah-numa kahlaane waale
un se pyar kiya hai ham ne un ki raah mein ham baithe hain
naa-mumkin hai jin ka milna aur nahi jo aane waale
un par bhi hansati thi duniyaa aawaazein kasti thi duniyaa
jaalib apni hi soorat the ishq mein jan se jaane waale
Responses
No comments yet. Be the first to respond.