ham ne se tujhe sada maana
tu bada tha tujhe bada maana
meer-o-ghaalib ke baad anees ke baad
tujh ko maana bada baja maana
tu ki deewaana-e-sadaaqat tha
tu ne bande ko kab maana
tujh ko parwa na thi zamaane ki
tu ne dil hi ka har kaha maana
tujh ko khud pe tha etimaad itna
khud hi ko toh na rahnuma maana
ki na shab ki kabhi pazeeraai
subh ko laaeque-e-sana maana
hans diya sath-e-zehan-e-aalam par
jab kisi baat ka bura maana
yoon toh shaair the aur bhi ai josh
ham ne tujh sa na doosra maana
Responses
No comments yet. Be the first to respond.