faiz aur faiz ka bhoolne waala hai kahin
ye tera sitam bhoolne waala hai kahin
ham se jis waqt ne wo shaah-e-sukhan chheen liya
ham ko wo waqt-e-alam bhoolne waala hai kahin
tire ashk aur bhi chamkaaengi yaadein us ki
ham ko wo deeda-e-nam bhoolne waala hai kahin
kabhi zindan mein kabhi door watan se ai dost
jo kiya us ne raqam bhoolne waala hai kahin
aakhiri baar use dekh na paae jaalib
ye muqaddar ka sitam bhoolne waala hai kahin
Responses
No comments yet. Be the first to respond.