ki baat labon par la kar ab tak ham dukh sahte hain
ham ne suna tha is basti mein waale bhi rahte hain
beet gaya saawan ka maheena mausam ne nazrein badlin
lekin in pyaasi aankhon se ab tak aansoo bahte hain
ek hamein aawaara kahna koi bada ilzaam nahi
duniyaa waale dil waalon ko aur bahut kuchh kahte hain
jin ki khaatir shahar bhi chhoda jin ke liye badnaam hue
aaj wahi ham se begaane begaane se rahte hain
wo jo abhi is raahguzar se chaak-gareban guzra tha
us aawaara deewaane ko jaalib jaalib kahte hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.