darakht sookh gae ruk gae nadi naale
ye kis nagar ko rawaana hue hain ghar waale
kahaaniyan jo sunaate the ahad-e-rafta ki
nishan wo gardish-e-ayyaam ne mita daale
main shahar shahar phira hoon isi tamannaa mein
kisi ko apna kahoon koi mujh ko apna le
sada na de kisi mahtaab ko andheron mein
laga na de ye zamaana par taale
koi kiran hai yahan toh koi kiran hai wahan
o nigaah ne kis darja rog hain paale
hamin pe un ki nazar hai hamin pe un ka karam
ye aur baat yahan aur bhi hain dil waale
kuchh aur tujh pe khulengi haqueequtein jaalib
jo ho sake toh kisi ka fareb bhi kha le
Responses
No comments yet. Be the first to respond.