bate rahoge toh apna yoonhi bahega lahoo
hue na ek toh na ban sakega lahoo
ho kis ghamand mein ai lakht lakht deeda-waro
tumhein bhi quatil-e-mehnat-kashan kahega lahoo
isi tarah se agar tum ana-parast rahe
khud apna raah-numa aap hi banega lahoo
suno tumhare garebaan bhi nahi mahfooz
daro tumhaara bhi ik din lega lahoo
agar na ahad kiya ham ne ek hone ka
ghaneem sab ka yoonhi bechta rahega lahoo
kabhi kabhi mire bachche bhi mujh se poochhte hain
kahan tak aur tu khushk apna hi karega lahoo
sada kaha yahi main ne quareeb-tar hai wo door
ki jis mein koi hamaara na pi sakega lahoo
Responses
No comments yet. Be the first to respond.