aur sab bhool gae harf-e-sadaaqat likhna
rah gaya kaam hamaara hi baghaawat likhna
laakh kahte rahein zulmat ko na zulmat likhna
ham ne seekha nahi pyaare b-ijaazat likhna
na sile ki na sataaish ki tamannaa ham ko
haque mein logon ke hamaari toh hai aadat likhna
ham ne jo bhool ke bhi shah ka quaseeda na likha
shaayad aaya isi khoobi ki badaulat likhna
is se badh kar miri tahseen bhala kya hogi
padh ke naa-khush hain mira saahab-e-sarwat likhna
dahar ke se hua rabt toh ham bhool gae
sarw quamat ko jawaani ko quayaamat likhna
kuchh bhi kahte hain kahin shah ke musaahib jaalib
rang rakhna yahi apna isi soorat likhna
Responses
No comments yet. Be the first to respond.