hai phaili hui kaali ghataaon ki jagah
bad-duaaein hain labon par ab duaaon ki jagah
intikhaab-e-ahal-e-gulshan par bahut rota hai
dekh kar zaagh-o-zaghn ko khush-nawaaon ki jagah
kuchh bhi hota par na hote paara-paara jism-o-jan
raahzan hote agar un rahnumaaon ki jagah
lut gai is daur mein ahal-e-qualam ki aabroo
bik rahe hain ab sahaafi beswaaon ki jagah
kuchh toh aata ham ko bhi jan se guzarne ka mazaa
ghair hote kaash jaalib aashnaaon ki jagah
Responses
No comments yet. Be the first to respond.