zikr hota hai jahan bhi mire afsaane ka
ek darwaaza sa khulta hai kutub-khaane ka
ek sannaata dabe-paanw gaya ho jaise
se ik khauf sa guzra hai bichhad jaane ka
bulbula phir se chala paani mein ghote khaane
na samajhne ka use waqt na samjhaane ka
main ne alfaaz toh beejon ki tarah chhaant diye
aisa meetha tira andaaz tha farmaane ka
kis ko roke koi raste mein kahan baat kare
na toh aane ki khabar hai na pata jaane ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.