wo khat ke purze uda raha tha
hawaaon ka rukh dikha raha tha
bataaoon kaise wo bahta
jab aa raha tha toh ja raha tha
kuchh aur bhi ho gaya numaayan
main apna likkha mita raha tha
dhuan dhuan ho gai thin aankhein
ko jab bujha raha tha
munder se jhuk ke chaand kal bhi
padosiyon ko jaga raha tha
usi ka iman badal gaya hai
kabhi jo mera khuda raha tha
wo ek din ek ajanbi ko
miri kahaani suna raha tha
wo umr kam kar raha tha meri
main saal apne badha raha tha
khuda ki shaayad raza ho is mein
tumhaara jo faisla raha tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.