shaam se aaj saans bhaari hai
be-quaraari si be-quaraari hai
aap ke baad har ghadi ham ne
aap ke saath hi guzaari hai
ko de do chaandani ki rida
din ki chaadar abhi utaari hai
shaakh par koi quahaquha toh khile
kaisi chup si mein taari hai
kal ka har waaquia tumhaara tha
aaj ki daastan hamaari hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.