sahma sahma dara sa rahta hai
jaane kyoon bhara sa rahta hai
kaai si jam gai hai aankhon par
saara hara sa rahta hai
ek pal dekh loon toh uthta hoon
jal gaya ghar zara sa rahta hai
sar mein jumbish khayaal ki bhi nahi
zaanuon par dhara sa rahta hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.