har baar ikhtiyaar kiya
ham se hota nahi hazaar kiya
aadtan tum ne kar diye waade
aadtan ham ne etibaar kiya
ham ne aksar tumhaari raahon mein
ruk kar apna hi intizaar kiya
phir na maangenge yaa-rab
ye gunah ham ne ek baar kiya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.