koi atka hua hai pal shaayad
waqt mein pad gaya hai bal shaayad
lab pe aai miri ghazal shaayad
wo akele hain aaj-kal shaayad
dil agar hai toh bhi hoga
is ka koi nahi hai hal shaayad
jaante hain sawaab-e-raham-o-karam
un se hota nahi amal shaayad
aa rahi hai jo chaap quadmon ki
khil rahe hain kahin kanwal shaayad
raakh ko bhi kured kar dekho
abhi jalta ho koi pal shaayad
doobe toh chaand hi nikle
aap ke paas hoga hal shaayad
Responses
No comments yet. Be the first to respond.