kaanch ke peechhe bhi tha aur kaanch ke oopar kaai bhi
teenon the ham wo bhi the aur main bhi tha bhi
yaadon ki bauchhaaron se jab palkein bheegne lagti hain
sondhi sondhi lagti hai tab maazi ki ruswaai bhi
do do shaklein dikhti hain is bahke se aaeene mein
mere saath chala aaya hai aap ka ik saudaai bhi
kitni jaldi maili karta hai poshaakein roz falak
subh hi raat utaari thi aur shaam ko shab pahnaai bhi
khaamoshi ka haasil bhi ik lambi si khaamoshi thi
un ki baat suni bhi ham ne apni baat sunaai bhi
kal saahil par lete lete kitni saari baatein kin
aap ka hunkaara na aaya chaand ne baat karaai bhi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.