jab bhi ye udaas hota hai
jaane kaun aas-paas hota hai
aankhein pahchaanti hain aankhon ko
chehra-shanaas hota hai
go barasti nahi sada aankhein
abr toh baarah-maas hota hai
chhaal pedon ki sakht hai lekin
neeche naakhun ke maas hota hai
zakhm kahte hain dil ka gahna hai
dard dil ka libaas hota hai
das hi leta hai sab ko ishq kabhi
saamp mauqua-shanaas hota hai
sirf itna karam kiya keeje
aap ko jitna raas hota hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.