ham toh kitnon ko mah-jabin kahte
aap hain is liye nahi kahte
hota na aasman pe agar
ham kise aap sa hasin kahte
aap ke paanw phir kahan padte
ham zamin ko agar zamin kahte
aap ne auron se kaha sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
aap ke baad aap hi kahiye
waqt ko kaise ham-nashin kahte
wo bhi waahid hai main bhi waahid hoon
kis se ham aafrin kahte
Responses
No comments yet. Be the first to respond.