ek parwaaz dikhaai di hai
teri aawaaz sunaai di hai
sirf ik safha palat kar us ne
saari baaton ki safaai di hai
phir wahin laut ke jaana hoga
yaar ne kaisi rihaai di hai
jis ki aankhon mein kati thin sadiyan
us ne sadiyon ki judaai di hai
par bhi koi zor nahi
ne har cheez paraai di hai
aag mein kya kya jala hai shab bhar
kitni khush-rang dikhaai di hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.