wan agar jaaein toh le kar jaaein kya
munh use ham ja ke ye dikhlaaein kya
mein hai baaqui wahi hirs-e-gunaah
phir kiye se apne ham pachhtaaein kya
aao lein us ko hamin ja kar mana
us ki be-parwaaiyon par jaaein kya
ko masjid se na mandir se hai uns
aise wahshi ko kahin bahlaaein kya
jaanta duniyaa ko hai ik khel tu
khel qudrat ke tujhe dikhlaaein kya
umr ki manzil toh joon toon kat gai
marahle ab dekhiye pesh aaein kya
dil ko sab baaton ki hai naaseh khabar
samjhe samjhaae ko bas samjhaaein kya
maan leeje shaikh jo daawa kare
ik buzurg-e-din ko ham jhutlaaein kya
ho chuke haali ghazal-khwaani ke din
raagni be-waqt ki ab gaaein kya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.