us ke jaate hi ye kya ho gai ghar ki soorat
na wo deewar ki soorat hai na dar ki soorat
kis se paimaan-e-wafa baandh rahi hai
kal na pahchaan sakegi -e-tar ki soorat
hai gham-e-roz-e-judaai na nashaat-e-shab-e-wasl
ho gai aur hi kuchh shaam-o-sahar ki soorat
apni jebon se rahein saare namaazi hushyaar
ik buzurg aate hain masjid mein khizar ki soorat
dekhiye shaikh musawwir se khiche yaa na khiche
soorat aur aap se be-aib bashar ki soorat
waaizo aatish-e-dozakh se jahan ko tum ne
ye daraaya hai ki khud ban gae dar ki soorat
kya khabar zaahid-e-quane ko ki kya cheez hai hirs
us ne dekhi hi nahi keesa-e-zar ki soorat
main bacha teer-e-hawaadis se nishaana ban kar
aade aai miri tasleem-e-sipar ki soorat
shauque mein us ke mazaa dard mein us ke lazzat
naaseho us se nahi koi mafar ki soorat
hamla apne pe bhi ik baad-e-hazeemat hai zaroor
rah gai hai yahi ik fath o zafar ki soorat
rahnumaaon ke hue jaate hain ausaan khata
raah mein kuchh nazar aati hai khatar ki soorat
yoon toh aaya hai tabaahi mein ye beda sau baar
par daraati hai bahut aaj bhanwar ki soorat
un ko haali bhi bulaate hain ghar apne mehman
dekhna aap ki aur aap ke ghar ki soorat
Responses
No comments yet. Be the first to respond.