ranj aur ranj bhi ka
waqt pahuncha miri ruswaai ka
umr shaayad na kare aaj wafa
kaatna hai shab-e- ka
tum ne kyoon wasl mein pahloo badla
kis ko daawa hai shakebaai ka
ek din raah pe ja pahunche ham
shauque tha baadiya-paimaai ka
us se naadaan hi ban kar miliye
kuchh ijaara nahi daanaai ka
saat pardon mein nahi thaharti aankh
hausla kya hai tamaashaai ka
darmiyan pa-e-nazar hai jab tak
ham ko daawa nahi beenaai ka
kuchh toh hai quadr tamaashaai ki
hai jo ye shauque khud-aaraai ka
us ko chhoda toh hai lekin ai dil
mujh ko dar hai tiri khud-raai ka
bazm-e-dushman mein na ji se utra
poochhna kya tiri zebaai ka
yahi anjaam tha ai fasl-e-khizan
gul o bulbul ki shanaasaai ka
madad ai jazba-e-taufeeque ki yan
ho chuka kaam tawaanaai ka
mohatsib uzr bahut hain lekin
izn ham ko nahi goyaai ka
honge haali se bahut aawaara
ghar abhi door hai ruswaai ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.