kar ke beemaar di dawa tu ne
jaan se pahle liya tu ne
rah-raw-e-tishna-lab na ghabraana
ab liya chashma-e-baqua tu ne
shaikh jab hi dair mein na laga
aa ke masjid se kya liya tu ne
door ho ai dil-e-maaal andesh
kho diya umr ka mazaa tu ne
ek begaana waar kar ke nigaah
kya kiya chashm-e-aashna tu ne
dil o din kho ke aae the soo-e-dair
yan bhi sab kuchh diya khuda tu ne
khush hai ummeed-e-khuld par haali
koi poochhe ki kya kiya tu ne
Responses
No comments yet. Be the first to respond.