junoon kaar-farma hua chaahta hai
quadam dasht paima hua chaahta hai
dam-e-girya kis ka tasawwur hai mein
ki ashk ashk hua chaahta hai
khat aane lage shikwa-aamez un ke
milaap un se goya hua chaahta hai
bahut kaam lene the jis dil se ham ko
wo sarf-e-tamannaa hua chaahta hai
abhi lene paae nahi dam jahan mein
ajal ka taquaza hua chaahta hai
mujhe kal ke waade pe karte hain rukhsat
koi waada poora hua chaahta hai
fuzoon tar hai kuchh in dinon zauque-e-isyan
dar-e-rahmat ab wa hua chaahta hai
qualaque gar yahi hai toh raaz-e-nihaani
koi din mein ruswa hua chaahta hai
wafa shart-e-ulfat hai lekin kahan tak
dil apna bhi tujh sa hua chaahta hai
bahut haz uthaata hai dil tujh se mil kar
qualaque dekhiye kya hua chaahta hai
gham-e-rashk ko talkh samjhe the hamdam
so wo bhi gawaara hua chaahta hai
bahut chain se din guzarte hain haali
koi fitna barpa hua chaahta hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.