jeete ji ke tum munh mein na jaana hargiz
dosto na lagaana na lagaana hargiz
ishq bhi taak mein baitha hai nazar-baazon ki
dekhna sher se aankhein na ladaana hargiz
haath malne na hon peeri mein agar hasrat se
toh jawaani mein na ye rog basaana hargiz
jitne raste the tire ho gae weeran ai ishq
aa ke weeraanon mein ab ghar na basaana hargiz
kooch sab kar gae dilli se tire quadr-shanaas
quadr yan rah ke ab apni na ganwaana hargiz
tazkira dehli-e-marhoom ka ai dost na chhed
na suna jaaega ham se ye fasaana hargiz
dhoondata hai dil-e-shoreeda bahaane mutrib
dard-angez ghazal koi na gaana hargiz
sohabtein agli musawwir hamein yaad aaengi
koi dilchasp muraqqua na dikhaana hargiz
le ke daagh aaega seene pe bahut ai sayyaah
dekh is shahar ke khandaron mein na jaana hargiz
chappe chappe pe hain yan gauhar-e-yakta tah-e-khaak
dafn hoga kahin itna na khazaana hargiz
mit gae tere mitaane ke nishan bhi ab toh
ai falak is se ziyaada na mitaana hargiz
wo toh bhoole the hamein ham bhi unhein bhool gae
aisa badla hai na badlega zamaana hargiz
ham ko gar tu ne rulaaya toh rulaaya ai charkh
ham pe ghairon ko toh zaalim na hansaana hargiz
aakhiri daur mein bhi tujh ko quasam hai saaqui
bhar ke ik jaam na pyaason ko pilaana hargiz
bakht soe hain bahut jaag ke ai daur-e-zaman
na abhi neend ke maaton ko jagaana hargiz
kabhi ai ilm o hunar ghar tha tumhaara dilli
ham ko bhoole ho toh ghar bhool na jaana hargiz
shaairi mar chuki ab zinda na hogi yaaro
yaad kar kar ke use ji na kudhaana hargiz
ghaalib o shefta o nayyar o aazurda o zauque
ab dikhaaega ye shaklein na zamaana hargiz
momin o alwi o sahbaai o mamnoon ke baad
sher ka naam na lega koi daana hargiz
kar diya mar ke yagaanon ne yagaana ham ko
warna yan koi na tha ham mein yagaana hargiz
daagh o majrooh ko sun lo ki phir is gulshan mein
na sunega koi bulbul ka taraana hargiz
raat aakhir hui aur bazm hui zer-o-zabar
ab na dekhoge kabhi lutf-e-shabaana hargiz
bazm-e-maatam toh nahi bazm-e-sukhan hai haali
yan munaasib nahi ro ro ke rulaana hargiz
Responses
No comments yet. Be the first to respond.