hai ye takiya tiri ataaon par
wahi israar hai khataaon par
rahein naa-aashna zamaane se
haque hai tera ye aashnaaon par
raharwo ba-khabar raho ki guman
rahazni ka hai rahnumaaon par
hai wo der aashna toh aib hai kya
marte hain ham inhin adaaon par
us ke kooche mein hain wo be-par o baal
udte phirte hain jo hawaaon par
shahaswaaron pe band hai jo
waqf hai yan barahna paanw par
nahi munaim ko us ki boond
menh barasta hai jo gadaaon par
nahi mahdood bakhshishein teri
zaahidon par na paarsaaon par
haque se darakhwaast afw ki haali
keeje kis munh se in khataaon par
Responses
No comments yet. Be the first to respond.