hai justujoo ki khoob se hai khoob-tar kahan
ab thaharti hai dekhiye ja kar kahan
hain daur-e-jaam-e-awwal-e- mein khudi se door
hoti hai aaj dekhiye ham ko sahar kahan
yaa rab is ikhtilaat ka anjaam ho b-khair
tha us ko ham se rabt magar is quadar kahan
ik umr chahiye ki gawaara ho neesh-e-ishq
rakkhi hai aaj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan
bas ho chuka bayan kasal-o-ranj-e-raah ka
khat ka mire jawaab hai ai naama-bar kahan
kaun o makan se hai dil-e-wahshi kanaara-geer
is khaanuman-kharaab ne dhoonda hai ghar kahan
ham jis pe mar rahe hain wo hai baat hi kuchh aur
aalam mein tujh se laakh sahi tu magar kahan
hoti nahi qubool dua tark-e-ishq ki
dil chaahta na ho toh zaban mein asar kahan
haali nashaat-e-naghma-o-mai dhoondhate ho ab
aae ho waqt-e-subh rahe raat bhar kahan
Responses
No comments yet. Be the first to respond.