go jawaani mein thi kaj-raai bahut
par jawaani ham ko aai bahut
zer-e-burqua tu ne kya dikhla diya
jama hain har soo tamaashaai bahut
hat pe is ki aur pis jaate hain
raas hai kuchh us ko khud-raai bahut
sarw yaa gul aankh mein jachte nahi
dil pe hai naqsh us ki raanaai bahut
choor tha zakhmon mein aur kahta tha dil
raahat is takleef mein paai bahut
aa rahi hai chaah-e-yoosuf se sada
dost yan thode hain aur bhaai bahut
wasl ke ho ho ke saaman rah gae
menh na barsa aur ghata chhaai bahut
jan-nisaari par wo bol utthe miri
hain fidaai kam tamaashaai bahut
ham ne har adna ko aala kar diya
khaaksaari apni kaam aai bahut
kar diya chup waaquiaat-e-dahar ne
thi kabhi ham mein bhi goyaai bahut
ghat gain khud talkhiyan ayyaam ki
yaa gai kuchh badh shakebaai bahut
ham na kahte the ki haali chup raho
raast-goi mein hai ruswaai bahut
Responses
No comments yet. Be the first to respond.