se khayaal-e-dost bhulaaya na jaaega
seene mein daagh hai ki mitaaya na jaaega
tum ko hazaar sharm sahi mujh ko laakh zabt
ulfat wo raaz hai ki chhupaaya na jaaega
ai raza-e-ghair hai shart-e-raza-e-dost
zinhaar baar-e-ishq uthaaya na jaaega
dekhi hain aisi un ki bahut meharbaaniyan
ab ham se munh mein maut ke jaaya na jaaega
mai tund o zarf-e-hausla-e-ahal-e-bazm tang
saaqui se jaam bhar ke pilaaya na jaaega
raazi hain ham ki dost se ho dushmani magar
dushman ko ham se dost banaaya na jaaega
kyoon chhedte ho zikr na milne ka raat ke
poochhenge ham sabab toh bataaya na jaaega
bigdein na baat baat pe kyoon jaante hain wo
ham wo nahi ki ham ko manaaya na jaaega
milna hai aap se toh nahi hasr ghair par
kis kis se ikhtilaat badhaaya na jaaega
maqsood apna kuchh na khula lekin is quadar
yaani wo dhoondate hain jo paaya na jaaega
jhagdon mein ahal-e-din ke na haali padein bas aap
quissa huzoor se ye chukaaya na jaaega
Responses
No comments yet. Be the first to respond.