dil ko -aashna kiya tu ne
-e-dil ko dawa kiya tu ne
tab-e-insan ko di sirisht-e-wafa
khaak ko keemiya kiya tu ne
wasl-e-jaanan muhaal thahraaya
quatl-e-aashique rawa kiya tu ne
tha na juz gham bisaat-e-aashique mein
gham ko raahat-faza kiya tu ne
jaan thi ik wabaal furqat mein
shauque ko jan-guza kiya tu ne
thi mohabbat mein nang minnat-e-ghair
jazb-e-dil ko rasa kiya tu ne
raah zaahid ko jab kahin na mili
dar-e-mai-khana wa kiya tu ne
quata hone hi jab laga paiwand
ghair ko aashna kiya tu ne
thi jahan kaarwan ko deni raah
ishq ko rahnuma kiya tu ne
naaw bhar kar jahan duboni thi
aql ko naakhuda kiya tu ne
badh gai jab pidar ko mehar-e-pisar
us ko us se juda kiya tu ne
jab hua mulk o maal rahzan-e-hosh
baadshah ko gada kiya tu ne
jab mili kaam-e-jan ko lazzat-e-dard
dard ko be-dawa kiya tu ne
jab diya raah-rau ko zauque-e-talab
sai ko naa-rasa kiya tu ne
parda-e-chashm the hijaab bahut
husn ko khud-numa kiya tu ne
ishq ko taab-e-intizaar na thi
ghurfa ik dil mein wa kiya tu ne
haram aabaad aur dair kharaab
jo kiya sab baja kiya tu ne
sakht afsurda taba thi ahbaab
ham ko jaadoo nawa kiya tu ne
phir jo dekha toh kuchh na tha yaa rab
kaun poochhe ki kya kiya tu ne
haali uttha hila ke mahfil ko
aakhir apna kaha kiya tu ne
Responses
No comments yet. Be the first to respond.