zameer maghrib hai taajraana zameer mashrique hai raahbaana
wahan dagargon hai lahza lahza yahan badalta nahi zamaana
kanaar dariya khizr ne mujh se kaha b andaaz maharmaana
sikandari ho qualnadri ho ye sab tareeque hain saahraana
hareef apna samajh rahe hain mujhe khadaaeeaan khaanquahi
anin ye dar hai ki mere naalon se shaque na ho sang aastaana
ghulaam quomon ke ilm w irfan ki hai yahi ramz aashkaara
zamin agar tang hai toh kya hai faza gardoon hai be karaana
khabar nahi kya hai naam us ka farebi ki khud farebi
amal se faarigh hua musalman bana ke taqudeer ka bahaana
miri aseeri pe shaakh ne ye kah ke sayyaad ko rulaaya
ki aise parsoz naghma khwan ka giran na tha mujh pe aashiyana
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga