paani tire chashmon ka tadapta hua seemaab
murghaan teri fazaaon mein hain betaab
ai waadi lolaab
gar saahab hangaama na ho mimbar w mehraab
din bandiya momin ke liye hai yaa khawaab
ai waadi lolaab
hain saaz pe mauquoof nawa haaye jigar soz
dheele hoon agar taar toh be kaar hai mazraab
ai waadi lolaab
mila ki nazar noor faraasat se hai khaali
be soz hai meekhaanah soofi ki mai naab
ai waadi lolaab
bedaar hoon dil jis ki fughaan sahri se
us quaum mein muddat se wo darwesh hai naayaab
ai waadi lolaab
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga