kaha tasweer ne tasweer gar se
numaaish hai miri tere hunar se
waleekan kis quadar naa munsifi hai
!ka toh posheeda ho meri se
giran hai chashm beena deeda war par
!jahan beeni se kya guzri sharar par
nazar w gham w soz w tab w taab
toh ai naadan quanaaat kar khabar par
khabar aql w khirad ki naatwaani
nazar dil ki hayaat jaawedaani
nahi hai us zamaane ki tag w taaz
sazaawaar hadees lan taraani
toh hai mere kamaalaat hunar se
na ho naumeed apne naqsh gar se
mire deedaar ki hai ik yahi shart
ki toh pinhan na ho apni nazar se
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga