us ki phoonk deti hai barna w peer ko
laakhon mein ek bhi ho agar yaquin
hota hai koh w dasht mein paida kabhi kabhi
wo mard jis ka faqr khazaf ko kare nagin
toh apni sarnoshat ab apne qualam se likh
khaali rakhi hai khaama haque ne tiri jabin
ye neelgon faza jise kahte hain aasman
himmat ho paraksha toh haqueeqat mein kuchh nahi
baalaaye sar raha toh hai naam us ka aasman
!zeer par aageea toh yahi aasman zamin
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga