quomon ke liye hai markaz se judaai
!ho saahab markaz toh khudi kya hai khudaai
jo faqr hua talkhi dauran ka gila mand
us faqr mein baaqui hai abhi boo gadaai
us door mein bhi mard ko hai mayassar
jo majza parbat ko bana sakta hai raai
dar maarka be soz toh zoque natwan yaafat
ai bandiya momin toh kajaayi toh kajaayi
khursheed ! sara pardiya mashrique se nikal kar
pahna mire kohsaar ko malboos hinaai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga