aadam ka zameer us ki haqueeqat pe hai shaahid
nahi ai saalik rah ! ilm faqueeri
faulaad kahan rahta hai shamsheer ke laayaque
paida ho agar us ki tabeeat mein hareeri
khud daar na ho faqr toh hai quahar ilaahi
ho ghairat toh hai tamheed ameeri
afrang z khud be khabrat karad wagarna
!aae bandiya momin ! toh basheeri toh nazeeri
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga